|
|
|
|
|
|
|
Naat: Banda Hoo Mai Do Alam Ke AQA Ka Banda Hoo Mai Do Alam Ke AQA Ka 2008-09-23 Banda hoo mai do alam ke AQA ka
Mujh par hai saaya do alam ke Sarkar ka
Pyare AQA se hai wajud duniya ka
Jo kuch hai isme sab hai Sarkar ka
Chaand par bhi chalta hai hukum Sarkar ka
Ye hai ek chita mere Noori-Sarkar ka
Shak ho jae zameen hukum paakar Aap ke
Bane mom jaha bhi pada qadam Sarkar ka
Nikal jae laaluch duniya ki izzat aur shoukat ka
Bas banke rahoon gada Madani Sarkar ka
Kia hi huaa munawwar aasa Sarkar ka
Sahaba guzre veerano se leke aasa Sarkar ka
Noor se milne jaana hai Noor ka
Sidra se bhi aage hai jaana Sarkar ka
kabhi ruqsaar-o-zulf ka to kabhi Unki aadaon ka
khuda karke zikr bataya rutba Sarkar ka
Kitna mahka mahka hai baagh gul ka
Lagta hai aise inpe tapka paseena Sarkar ka
Nalain se ud kar dhool bani tukda badaal ka
Banke Rahmat barasta hai karam Sarkar ka
Bana AQA ka pairahan zariya hamari najat ka
Owais(raziallahutala)ne jab manga sadqa pairahan-e-Sarkar ka
Unki chamakti ankhein jis me hai jalwa Khuda ka
Be parda dekha Noor ko ye hai martaba Sarkar ka
Sitam sahte the Sarkar kafer-o-munafiqo ka
Allah Allah(azzawajal)kaisa sabar hai Sarkar ka
Wajd me aane laga pahad uhad ka
Jab us par pada khadam Sarkar ka
Mere seene pe pad jae qadam Sarkar ka
Milegi qalb ko rahat jab padega qadam Sarkar ka
Kiyun samjhu majboor mai, banda hoon MUQTAAR ka
Dono jahaan me hai mujh ko sahara Sarkar ka
Wo Madina jis me hai manzar jannat ka
Aur jannat maujud hai jaha Rouza Sarkar ka
Bosa lelu unki nalain-e-paak ka
Jaane kab hoga mujh pe ye karam Sarkar ka
Zulf-e-Sarkar ko chumta huva tail niche tap ka
Tail ke chashme phute jaha chalna phirna tha sarkar ka
Kiya poochte ho ilm-e-ghaib Sarkar ka
Haqeeqi ghaib ke paas aana jana hai Sarkar ka
Tumhara dar hai daftar taqsim-e-rizq ka
Deta hai RABB lekin taqsim karna hai Sarkar ka
Dilkhusha mahrab-o-mimbar aur manzar sunehri jaliyon ka
SubhanAllah kia khoob hai Darbaar Sarkar ka
Na baaqi raha andhera veeran-o-biabano ka
Jab dekha veerano ne muskurana Sarkar ka
Na hogi maa apne bete ki na hoga baap bete ka
Nafsa nafsi me karam aade aaiga Sarkar ka
Kia hi khoob rahega manzar hashr ka
Jahaan dikhaega RAB-e-Bari martaba Sarkar ka
Sab ki sunte hai boliya ye kanekaramat hai Sarkar ka
Sab ki bharte hai jholiyaan ye dast-e-karam hai Sarkar ka
Sarkar ki sana khwani hai zariya najat ka
Qabr me bhi karenge sana ghulam Sarkar ka
Noor se jag maga uthe gi qabr door hojaiga andhera qabr ka
Janib-e-qabr jab hoga rukh Sarkar ka
Unki amad pe pukar uthu wo aya ghamkhar ghamzadaun ka
Phir qadmo me girjaunga dekh kar chehra Sarkar ka
Ungliyaun se behne laga chashma pani ka
Jab arz kiye sahaba 'pani' tham kar daman Sarkar ka
Jalwa dekhna chahte ho agar khuda ka
To phir dekhlo jalwa mere Madani Sarkar ka
Unka gesu shifa hi nahi toud hai har bala ka
Isliye to hazrat-e-khaled rakhte the gesu Sarkar ka
RABB hi bahtar jaane martaba Apne Mahboob ka
Hamko samajh me aa nahi sakta martaba Sarkar ka
Bina vasile-e-Rasool-e-Akram pata nahi milega RABB ka
Aur bina ghous-o-khaja(raziallahutala) ke pata nahi milega Sarkar ka
Zamin pe na girne dete the sahaba pani wuzu ka
Chahre pe mal lete the luaab Sarkar ka
Door hogaya aankh ka marz hazrat-e-ali(raziallahutala) ka
Pahle se bahtar nazar aane laga jab laga luaab Sarkar ka
Sag hai jaber unke aashiqo ke dar ka
Kaise hoga rusva hokar banda Sarkar ka |
|
|
|
|
|
|
DesiHearts Home |
Chat |
Forum |
News |
Punjabi Dubbing |
Naat Lyrics |
YouTube Video Converter |
Song Lyrics |
Wallpapers |
Greeting Cards |
Download Fonts |
Horoscopes |
Currency Converter |
Fashion |
Fun stuff |
TV Channels |
Contact Us |
Donate |
Credits |
|
Copyright 2010 by DesiHearts.com
Design, Develop and Maintaince by FiberTech
|